Latest Post

Sunday, 15 January 2017

Sad shayri that's make you cry

10 sad shayri
That's make you cry..

1).  तेरे रोने से उन्हें कोई
फर्क नहीं पड़ता ऐ दिल
जिनके चाहने वाले ज्यादा हो
वो अक्सर बे दर्द हुआ करते हैं
Tere Rone Se Unhe Koi
Fark NHi Padta Aye Dil
Jinke Chahne Wale Zayada Ho
Wo Aksar Be-Dard Hua Karte Hai
2).  नया दर्द एक और दिल में जगा कर चला गया,
कल फिर वो मेरे शहर में आकर चला गया,
जिसे ढूंढ़ता रहा मैं लोगों की भीड़ में,
मुझसे वो अपने आप को छुपा कर चला गया।
Naya dard ek aur dil mein jaga kar chala gaya,
Kal phir woh mere shehar mein aakar chala gaya,
Jise dhoondta raha main logon ki bheed mein,
Mujh se woh apna aap chhupa kar chala gaya,
Main uski khamoshi ka sabab poochti rahi,
Woh kisse idhar udhar ke suna kar chala gaya,
Yeh sochti hoon kaise bhulaungi ab usse,
Ek shaks woh jo mujh ko bhula kar chala gaya.
3).  तेरी आरज़ू मेरा ख्वाब है,
जिसका रास्ता बहुत खराब है,
मेरे ज़ख्म का अंदाज़ा न लगा,
दिल का हर पन्ना दर्द की किताब है।
Teri aarzoo mera khwab hai,
Jiska raasta bahut kharab hai,
Mere zakhm ka andaza na laga,
Dil ka haar panna dard ki kitaab hai…!!!
4).   Koi achi si SAZA do mujhko,
Chalo aisa karo BHULLA do mujhko,
Apne DIL me basi TASVIR meri,
Aisa karo JALA do usko,
Meri WAFA pe agar SHAK hai tumko,
Tu phir NAZAR se gira do mujh ko,
Muddat hogai hai tere HIJR me jagte howe,
Apni sanso ki HARARAT se sula do mujhko,
Kuch tu TARAS karo apne DIWANE per,
JAAM na sahi ZEHER hi pila do mujhko,
Tum se bichron tu MOUT aa jai mujhko,
Dil ki Gehrayon se aisi DUA do mujhko.
5).  Bahot Ajib Hoti Hai Ye Yaade Bhi Mohabbat Ki,
Jin Palo Me Hum Roye The,
Unhein Yaad Karke Hume Hansi Aati Hai,
Or Jin Palo Me Hanse The,
Unhe Yaad Karke Rona Aata Hai..!!
6).  Meri kabar pe rone mat aana,
Mujhe pyaar hai ye kehne mat aana,
Main duniya main hoon tab tak satao mujko,
Jab main so jao to jagane mat aana.
7).  Jab tere shaher me raha karte the,
Hum bhi chup chaap jiya karte the,
Aankho me pyas hua karti thi,
Dil me toofaan utha karte the,
Log aate the shayeri sunne hamse,
Hum to faqat teri baat kiya karte the,
Ghar ki deewaar sajaane ki khaatir,
Hum tera naam likha karte the,
Aaj teri tasveer dekhi to yaad aaya,
Kabhi hum bhi mohabbat kiya karte the.
8).  देख कर मेरा नसीब मेरी तक़दीर रोने लगी,
लहू के अल्फाज़ देख कर तहरीर रोने लगी,
हिज्र में दीवाने की हालत कुछ ऐसी हुई,
सूरत को देख कर खुद तस्वीर रोने लगी।
9).   बेताब से रहते हैं उसकी याद में अक्सर,
रात भर नहीं सोते हैं उसकी याद में अक्सर,
जिस्म में दर्द का बहाना सा बना कर,
हम टूट कर रोते हैं उसकी याद में अक्सर।
10).  खुद को कुछ इस तरह तबाह किया,
इश्क़ किया क्या ख़ूबसूरत गुनाह किया,
जब मुहब्बत में न थे तब खुश थे हम,
दिल का सौदा किया बेवजह किया|
For more.
Follow our blog & also like our fb page
https://m.facebook.com/Trolling-university-1830088170581950/?_rdr
And share to your friends & family members..

No comments:

Post a Comment